1) Bulandiyon ka bade se bada nishan chhua
Uthaya god me Maa ne tab aasman chhua

2) Jab bhi kashti meri sailab men aa jaati hai
maa dua karti hui khvab men aa jaati hai

3) Khud ko is bheed me tanha nahi hone denge
Maa tujhe hum abhi boodha nahi hone denge

4) Udas rehne ko acha nahi batata hai
Koi bhi zaher ko mitha nahi batata hai
Kal Apne Aap ko dekha tha Maa ki aankho me
Ye aaina hame buddha nahi batata hai

5) Is Tarah mere gunahon ko wo dho deti hai
Maa bahut gusse me hoti hai to ro deti hai

6) Kisi ko ghar mila hisse men ya koi dukan aai
main ghar mein sab se chota tha mere hisse mein maa aayi

7) Gharon mein yun sayanee betiyaan bechain rehati hain
Ki jaise sahilon par kashtiyan bechain rehti hain

8) Labon pe uske kabhi baddua nahi hoti
Bas ek Maa hai jo kabhi khafa nahi hoti

9) Aisa lagta hai ki jaise khatam mela ho gaya
Uad gai aangan se chidiya ghar akela ho gaya

10) Maine jannat toh nahi dekhi,
Maine Maa dekhi hai
